Mobile number portability kya hai or aap Apne number ko port kaise .

Mobile number portability kya hai or aap Apne number ko port kaise .


March 1, 2018 . By :- Hritik Mohapatra

 Mobile network evolution ke wajah se bahot saare sim operators ne Apne customers Ko lubhane ke liye naye naye plans aur naye naye techniques ke sath market mein aa Gaye hai. Aise me agar aap ye sab subidha Apne sim Operator ke paas nahi paa shakte to aapko uss company / Operator ka sim kharidna padega . Usse aapko alag alag suvidha toh milega par aapko isse aapke phone number toh change ho jayega. Iske liye TRAI ne pehle se hi suvidha banake Rakhi hai . Jiska naam hai " Mobile Number Portability " ya isse aasan bhasa me aap keh shakte hai ' Port ' . Aaj hum aapko iss article me batanewale hai ki aap kaise apne sim Ko port karke Apne sim Operator Ko change kar shakte hai .
Mobile number port


Mobile Number Portability kya hai


 Ye porting ki subidha bahot saalon se Chali aa Rahi hai . Isse faida ye hoga ki aapka mobile sim Operator ( jaise Airtel , Aircel , Vodafone , Jio etc. ) toh badal jayega par aapka phone number bilkul hi same rahega. Port karne ka ye faida hai ki aap apna sim Operator change kar shakte hai Bina apna Mobile number change kiye.

Jab bhi aap sim khareedne ke liye jaate hain to aap ko bahut saare telecom company  baajaar mein milate hain jo apane grahako ko lubhaane ke liye koi na koi offera nikaalte rehte hai . kisi network mein aapko accha internet milega to kisime accha calling plans milte hain. Kisi me aapko Free me Internet milte hai to kisi me aapko internet pack high price milte hai . Kisime aapko daily unlimited messages milte hai to kisi me aapko limited hi message milte hai.

 En sabhi telecom company mein se ham us company ko chunte jo hame accha voice quality , speed internet aur aacha voice data packs dete hai . Parantu samasya to tab aatu hai jab ham kisee network ka nambar lete hain, jisme kabhi bhi network ke samasya hai to kabhi hamare internet nahin chalata hai aur jab bhi chalta hai to bahut dheemi gati se aur kabhi hamare calling hona band ho jaate hai .




ALSO READ


Aab sabse badi samasya ye hoti hai ki ham doosre company mein jaana chaahte hain par hum koi naya numbar nahin chahate hai balki hum to yah chahate hain ki phone number hum pehle se istamaal kar rahe hain wahi Phone number hum us company mein mil jayenge jisme hum jaana chahte hai . Toh uske liye hume apna number port karana padta hai.

Jiski help se hum bina Apne phone number Ko badle hi dusri telecom company me Jaa shakte hai aur uske saare plans aur features ka maaja utha shakte hai .

Mobile Number Portability kaise karte hai .


1. Apne number Ko kisi aur Operator ke saath port karne ke liye aapko Sabse pehle Apne number se ek message create karna padega.

 2. New Message create karne ke Baad aapko subject me capital letters me PORT<space> mobile number likhe . Iske Baad aapko iss message ko 1900 par bhej de .
    * Dhyan rahe - aapko message karte samay <space> nahi likhna hai . Aapko Port aur Mobile number ke bich me space Dena padega. 

 3. Jaise hi aap ye message bhejte hai kuch der Baad 1901 number se aapke Phone pe ek message aayega jisme aapko ek UPC Code milte hai jiski validity sirf 15 dino ke liye hota hai . Iska matlab ye hai ki aap Apne number Ko 15 din ke andar port kar shakte hai us UPC code ke madad se .

 4. Ab jisbhi telecom company me aap apna number port karna chahte hai aap Us telecom company retailer ya us telecom company shop me Jaana padega . Aur aapko Apne saath apna Aadhar Card , Photos aur UPC code jaise documents lekar Jaana padega .

 5. Fir aapko us shop se ek Naya sim milega jisme number Wahi purana hoga . Wo number Ko fully port hone ke liye 5-7 din lagenge.

 6. Fir 7 din baad aapko Apne purane sim par ek message aayega ki aapka number port ho Chuka hai . Aur uske Baad aapke purane sim pe network nahi aayega aur Naya sim aapka active ho jayega .



Apna number port karne se pehle ye baato ka dhyan rakhe 


1. Kisibhi dusre telecom company se apna number port karne se pehle ye dhyan rakhe ki kya us network ke dwara wo Service di Jaa rahi hai jiski aapko jarurat hai.

2. Ek Baar agar aapne apna number port kar diya toh aapko kamse Kam 3 mahine tak us company me rehna padega . Aur 3 mahine ke Baad aap chahe to dusri kisi telecom company ke saath port kar shakte hai .

3. Agar aap prepaid customer hai to aapka number aasani se port ho jayega . Par agar aap postpaid customer hai to aapko thodi parisani uthani pad Shakti hai .

4. Number port karne se pehle aapko Apne number ke balance Ko poora use karna padega . Kyun ki sayad dusre network me aapko Apne purane balance milega ya nahi .

5. Jab bhi aap number port request karte hai to aapke paas us Operator ke paas se call aata hai . Aap agar chahe to us Operator se aacha plan leke porting band bhi kar shakte hai.

 Toh dosto iss tarah se aap apna phone number port kar shakte hai . Umid hai ki ye article aapko pasand aaya hoga . Agar ye article aapko pasand aaya to hamare website Ko Subscribe kijiye aur Apne friends ke sath share bhi kijiye .

Post a Comment

4 Comments