Apne Android Phone me Facebook page kaise banaye 2018 .

 Dosto aapsab log to jarur Facebook use karte honge aur aap ka account bhi jarur hoga . Aap sab me bahot saare pages dekhi hogi Facebook me . Aap sabko sayad pata nahi hoga par aap apna khudka Facebook page banake bhi paise Kama shakte hai.  Dosto aaj hum aapko iss article me batanewale hai ki aap kaise apne Android phone me Facebook page Bana shakte hai .


Ye bilkul hi aasaan tarikha hai . Agar aapko nahi pata toh ye article pura padh lijiye or right side me Jo bell ka widget hai use click karke hamare website Ko Subscribe kardijiye .



Steps to create Facebook Page :-

• Sabse Pehle aapko aapke phone ke Facebook app me Jaana padega , ya aap koi bhi Browser use kar shakte hai . Fir aap Apne Facebook account se login kijiye . Fir aap Facebook ke right side ke jo " 3 lines " wala sign hai uspe click karna padega .

• Fir aapko niche scroll karke pages ke option pe Jaana hai . Fir wahan pe simply "Create Page" pe click kar dijiye .


• Fir aapke paas ek new window open ho jayega . Fir aap get started pe click kardijiye.


• Fir aap apna page ka name fill up kar dijiye aur next pe click kijiye .


• Fir aapko aapke page ki category Ko select kar lena hai , fir next pe click kar Dena hai.


• Fir agar page ke related aapke paas koi bhi URL ya link hai aap use paste kar dijiye aur next pe Click kijiye . Aur agar aapke paas koi bhi link nahi hai to aap sirf next pe click kijiye .


• Fir app me ek window open hoga jisme aap Apne page ke profile picture aur cover photo de shakte hai . Aur aap next pe click kijiye


• Iske Baad aapka page banke simple aapke paas open ho jayega.  Fir aap Apne page me kuch bhi upload kar shakte hai.


Toh dosto aaj ka article itna hi. Aap hame comments me batana ki aapko hamara article kesa Laga . Aur aap ye bell ke butter pe click karke hamare Website Ko Subscribe karna naa bhuliyega .

Post a Comment

0 Comments