How to Solve YouTube Channel setting icon / tab disappearing problem in hindi

How to Solve YouTube Channel setting icon / tab disappearing problem in hindi .


February 23, 2018 . By :- Hritik Mohapatra

 Dosto aap mein se bahot saare log to YouTube videos dekhte honge , aur aap mein se jyadatar logon ke paas apna YouTube channel hoga . Agar aap ek YouTube channel ke owner hai to aap Ko ek baat ka Dhyan rakhna chahiye ki Apne Channel ke configuration ke wakt aap jin cheezon se jaante nahi un cheezon ke saath ched chad mat kijiye .



Kabhi kabhi kya hota hai ki accidentally YouTube ke kuch bugs hamare Channel pe aa jate hai . Ya fir aapke galat configuration ke wajah se hamare YouTube channel me problems dikhai dene lagte hai . Aaj hum aapko iss video me batane wale hai YouTube channel configuration ke ek bade problem ka solution .

 Iss problem me kya hota hai ki aapke Channel ka setting icon / tab wo disappear ho jaata hai. Matlab wo aapko apke Channel page pe dekhne Ko nahi milti.  Iski wahaj se aap Aapke Channel ke edit Channel art option , aur edit link option bhi gayab ho jaata hai .

 Ye YouTube ka aaj kal ka Sabse bada problem hai . Jisse Maine bahot dino Baad uska solution dhundha hai . Ye problem ka solution itna bhi bada nahi jitna aap sab soch rahe hai. Ye ek simple trick hai jisse aap ye problem ko fix kiya jaa shakta hai .

Toh dosto Abhi chalte hai iske solution wale concept me



How to solve YouTube channel setting icon/tab disappeared

1. Sabse pehle aapko Apne phone ya Computer me kisi bhi ek browser me Jaana padega . Fir aapko YouTube url type karke sign in Kardena hoga .
  * Yaad rahe :- Apne mobile me desktop mode on karke rakhna

2. Fir YouTube website ke upper right corner me ek 3 parallel lines ka option dikhega uspe click Kardena. Fir niche "My Channel" ka option pe click Kardena .
 

3. Fir aapke paas ek naya windows open ho jayega . Wahan pe aap dekh payenge ki aap ka setting tab/icon missing hai or aapke channel ke edit links or edit Channel art option missing hai . Aur aapko upar ek Blue colour ke border line ke upar ek star mark me kuch likha hoga . Exactly Wahi aapke channel ka problem hai . Usiki wajah se aapke channel ke settings icon missing hai .

" You have channel translations. To make changes to your channel, set your language to Hindi. Learn more "

Iss line ka matlab ye hai ki hamare paas jo Abhi Channel screen pe dikh Raha hai wo sirf hamare Channel ka translation hai . Aur isko hame solve karna hai . Hum Ko apna language simply English se change karke hindi me Done karna hai

4. Ab aapne jaisa upar padha USS hisab se aap niche scroll karke simply " Language " ke option pe click kijiye or simply hindi pe click kardijiye.


5.  Ab aapne dekha hoga ki aapke Channel ka setting icon Laut aaya hai or aap Apne channel ke edit Channel art aur edit link par bhi kaam karta shakte hai . Par pura page ka language hindi me hone ki wajah se aapko problem feel ho rahi hoga . Chaliye hum use bhi solve kardete hai . Ab simply hame us setting ke icon pe click karna hoga .


6. Settings ke icon pe click karneke Baad aapke saamne ek pop-up window open ho Gaya hoga. Aap bas usme se nichewale " translating channel info " pe click kardijiye.






7. Ab aapke saamne ek Naya window open ho Gaya hoga. Usme Sabse pehle ek Naya options " Original Language " aaya hoga . Usko aap simply hindi pe click kar dijiye .



8.  Fir aap wahin pe English search kar dijiye.



9. Aapke saamne English ke do option honge aap sirf " English " pe click kijiye. Aur set language pe click kijiye.



10. Fir aap Apne Channel home page pe jaake niche scroll karke language option pe click kijiye aur use " English (US) " pe click kijiye.


11. Ab aapka Channel ka page fully English hai aur Setting icon bhi appear kar raha hai or edit Channel art ka option bhi aa Raha hai.

Toh dosto aaj ke article me humne aapko bataya hai ki aap kaise apne Channel ke missing setting icon Ko firse enable kar shakte hai . Aap Hume comments me bataye ki aapko hamara article kaisa laga . Aur Hume Subscribe bhi kijiye bell option pe click karke . Fir milte hai ek naye article ke sath . Tab tak ke liye
                                                                                                                                  Good Bye.

Post a Comment

1 Comments