How to autoshare YouTube videos on Facebook page in Hindi .

Apne YouTube videos Ko kaise automatically Facebook page pe share kare jab bhi aap naye video YouTube pe upload kare . How to autoshare YouTube videos on Facebook page on your Android phone .


February 22 , 2018 . By :- Hritik Mohapatra

 Hello dosto me Hritik , leke aaya hoon aapke paas ek naya trick le kar aaya hoon . Iss article me hum aapko batanewale hai ki aap kaise apne YouTube videos Ko automatically Facebook page pe upload kar shakte hai jaise hi aap YouTube me upload karte hai .



 Jaisa aap sabko pata hi hoga ki pehle YouTube me connected accounts me Facebook aur Twitter dono ka option aata tha. But Facebook na jabse apna monetization policy start Kiya hai tabse connected accounts se Facebook Ko remove kar diya hai .

Ab sirf Twitter ka option hi aata hai , jaisa aap sab Abhi image me dekh shakte hai. Isse kya hota hai ki aapko firse Facebook page pe jaake video ka link copy karke paste karna padta hai .

 Aaj finally hum aapko iss problem ka solution dene wale hai. Friends iske liye Sabse pehle to aapko Apne Android phone ke playstore me jaake ek app ko download karke setup karna padega . Ye poora step Abhi hum niche batanewale hai .




Steps to share YouTube video on Facebook

• Sabse pehle aapko playstore me Jaana padega aur ek application ko install karna padega jiska naam hai "IFTTT" .

App link :- PlayStore/IFTTT


• Fir aapko app ko download karke sign up karna hoga. Ye aapko Google / Facebook / Gmail ka option dega . Aap Apne hisab se account create karke log in ho jaiye .

• Fir aap niche right me diye gaye box 
ke button pe click kijiye . Fir aap simply upar diye Gaye + ke button pe click kar dijiye.

• Fir aapke paas ek Naya window open ho jayega jisme likha hoga
"if
     + this
      then
      that "

 Aapko simply " this " me wo select karna hoga jo aap share karna chahte hai or " that " me wo share karna hoga jisme aap share karna chahte hai.


• Ab aapko Simply " this " pe click karke YouTube search karna hai .



• Ab aap simply " New public video uploaded by you " Ko select karna hai or ek window open ho jayega jisme aapko aapke Channel ka link Ko paste karke save Kardena hai.

• fir aap simply that pe click karke Facebook page pe click Kardena hai .

• Fir aapko create a link post pe click kijiye aur fir ek Naya window open hoga jisme aap Apne Facebook page ka url type karke upar diye Gaye ✓ ke option pe click kijiye.



• Fir aapko notification option enable karke finish pe click karna padega .


• Ye lo hogaya aapka problem dur . Ab aap jab bhi YouTube me naye video upload karoge to wo aapke Facebook page pe automatically upload ho jayega .

Toh Friends aaj ka article Ko idhar khatam karte hai . Toh jaane se pehle hamare website ko Subscribe karna naa bhuliyega aur hamare article Ko share kijiye aur hame comments me bataye ki aapko hamara article kaisa laga .

Post a Comment

1 Comments