Facebook me fake account ki Report kaise kare apni Android phone se .

Facebook me fake account ki Report kaise kare apni Android phone se . How to report fake Facebook profile on Android phone .

February 22 , 2018 . By :- Hritik Mohapatra


Dosto aap sab to Facebook use karte honge . Aur aap sabke paas ek ek ya do do Facebook accounts honge . Par dosto agar aap fake Facebook accounts use karte honge to aap turant satark ho jaiye. Kyun ki ab koi bhi aapka account Ko band kar shakta hai .


Aap sabne Facebook me dekha hoga ki Facebook ki har dusri account fake hoti hai . Aur aaj kal to Facebook me real account dhundna kitna mushkil ho Gaya hai .

Aaj me aapko jis method batane wala hoon usse sayad aap real account Ko find nahi kar shakte par aap fake accounts Ko hamesha ke liye Facebook se report karke block kar shakte hai wo bhi Apne Android phone mein .

 * Dhyan rahe :- ye trick Facebook ke real account pe kaam nahi karta . Agar aap Jaan bujh ke kisi asli profile wale Ko pareshaan karne ke liye report karwa rahe hai to aap mushkil me phas shakte hai .

Agar aapke saamne koi fake Facebook account aata hai toh aap iss method se use turant block karwa shakte hai .

Jyadatar fake account ladkiyon ki Naam se banayi jaati hai . Agar aapke paas bhi koi fake Facebook id se friend request aayi hai to aap simply use report kar shakte hai .



Kaise Fake accounts ki report kare

1. Sabse pehle to aap Apne phone ki Facebook app ko open kijiye ya fir Apne kisi bhi Browser Ko open karke login kijiye


2. Fir aapko jo account fake lagta hai usse aap simply open kijiye .



3. Fir aap uske profile me jaiye aur upar right side ne diye gaye 3 dots pe click kijiye



4. Fir aapko simply report ke option pe click karna padega . Ek minute , ye method Abhi Complete nahi hua hai .



5. Uske Baad aapke saamne ek Naya window open hoga . Jisme aapke paas bahot saare options honge . Aap Ko simply " Report this profile " pe click karna padega .



6. Iske Baad aapke saamne reasons ki list open ho jayega. Aap simply " This is a fake account " pe click kardijiye .




7. Reason dene ke Baad simply aap " Submit to Facebook for review " pe click kijiye.



8. Bas , ho Gaya aapka kaam aapka. Ab wo account kuch dino me band ho jayega * agar wo account fake ho *

Ab aap ka kaam khatam ho Gaya. Ab fake account ki Report ke Baad Facebook team usko check Karti hai aur agar wo account unko fake lagti hai to phir wo log us account Ko delete kar dete hai.

Dosto agar aapko hamara article pasand aaya to hame comments me jarur bataye . Aur koi Salah ya sujhab ho to niche comment kijiye . Aur hamare iss website Ko Subscribe kijiye .

Post a Comment

0 Comments