Cryptocurrency Kya hai aur usse paise kese kamaye.

What is Cryptocurrency and how it works . Cryptocurrency kya hai or wo kaise kaam karta hai . Cryptocurrency क्या है और वो कैसे काम करता है .


February 1, 2018 . By :- Hritik Mohapatra

Jab bhi hum kisi dusre desh me jaate hai to hame alag tarah ki currency dekhne ko milti hai. Jaise ki maan lo ham Bharat me hai to hum rupay ka istamaal karte hai , waise hi agar hum America chale jaate hai to hume wahan par dollar use karna padega. Isi tarah se alag alag desh me alag alag tarah ki currency istamaal ki jaati hai . Aaj hum aapko iss article me hum aapko ek nayi tarah ki currency matlab digital currency ke baare mein batane Jaa rahe hai jo ki poore duniya bhar me ki jaati hai , aur ye digital payment ke liye bahot hi acchi currency hai aur uski value badhti jaa rahi hai .




What is Cryptocurrency ?

Cryptocurrency ek tarah ki digital assets hoti hai jiske liye iska istamaal Kiya jaata hai. Iska istamaal lagbhag saaman kharidne ya koi service lene ke liye karte hai. Ye ek Peer-To-Peer electronic payment system hota hai jiska istamaal karke hum Internet ke madhyam se Apne regular currency ka istamaal nahi karke dusre kisi currency ka istamaal karke koi saman kharidte hai. Cryptocurrency ki madad se aap Apne paise Ko aasani se bacha shakte hai or accha khaasa savings bhi kar shakte hai.


How Cryptocurrency works ?

Jaisa ki humne aapko bataya ki yah ek digital system hoti hai jiske madhyam se aapko isme kisi kisi kagaj ki jaroorat nahi padti hai . Ye sirf aapke computer ke internet se hi transfer ho shakta hai . Cryptocurrency ko agar aap dhyan se dekhe to usme do chiz hai , ek hai Currency aur dusra hai encryption jiska matlab hai surakshit paisa . Isme paisa ek jagah se dusri jagah par bina kisi dusre user, agency, sarkar ko bataye bina kar shakte hai.


Types of Cryptocurrency


Jab cryptocurrency ki shuruat hui thi tab ek ya do hi aise company hai jo cryptocoin banati thi lekin aaj lagbhag 1000 se bhi jyada cryptocurrency hai. Ab hum aapko kuch important cryptocoin ke baare me niche bata rahe hai .

 1. Monero (XMR)
Ye ek special type ki cryptocurrency hai aur iska istamaal darkweb black market me Sabse jyada Kiya jaata hai. Iske special tarah ki security ka istamaal Kiya jaata hai jiska naam hai Ring Signature .

 2. Dash
Ye bhi ek tarah ki cryptocurrency hai. Isko Sabse pehle dark coin ke Naam se Jaana jaata tha. Ye master node naam ki ek network ki help se kaam karta hai aur ye Bitcoin se bhi jyada tej aur jyada effective hai or iski Sabse pehle 2014 me banaya gaya tha aur uske baadse ye abhitak chal raha hai .

 3. Lite Coin (LTC)
Iska abiskar 2011 me kiya gaya tha . Iski madad se Bitcoin aur bhi adhik tej payment transfer karshakte hai .

 4. Zcash (ZEC)
Iska istamaal 2016 me hua tha. Isme jitne bhi hamare information hoti hai jaise payment aur hamare bank account details ye saare encrypted karke transfer kar di jaati hai. Ye bahot hi secure cryptocurrency hai.


List of Cryptocurrencies

• Bitcoin (2009)
• Ripple (2013)
• Litecoin (2011)
• Auroracoin (2014)
• Peercoin (2012)
• Dogecoin (2013)
• Namecoin (2011)
• Mastercoin (2013)
• Primecoin (2013)

Post a Comment

0 Comments